Tum lot aao Main tumhe fir se apna banana chahta hun
Pal jo sath bitaye the wo bahut yad aate hai
Tumhare kiye gye msg bahut yad aate hai
Tumhare purane msg kabhi kabhi padh leta hun
Purani yaden taja kar leta hun
Par teri bewafai mujhe andar se tod gai
Tumhari judai mujhe khud se alag kar gai
Muskilo se khud ko tukdo tukdo se joda hai
Aankho ke jharohar se ojhal ho jate ho
Talluk tod jo humse baithe ho
Bhoole bisre hi mere dil ke galiyare me najar aate ho
Bole to kya bole meri khataye bhi nahi batate ho
Man ko maine bhi ab uljha liya hai shero or gazlo me
Lo khush ho jao ki ab tum bahut kam yad aate ho
Par bhool jana aasan nahi hota hai
Kabhi gujare pal yad aate hai
Kabhi yadon ke khajane yad aate hai
Kabhi sapne suhane yad aate hai
Kabhi ishq ke tarane yad aate hai
Kuch dard purane yad aate hai
Wo wade purane yad aate hai
Kabhi mohabbat ke fasane yad aate hai
Kabhi wo badan ke khajane yad aate hai
Kabhi wo mulakate ke thikane yad aate hai
Waqt kab kis tarah badal jate hai
Dekhte hi dekhte apne badal jate hai
Bas main ab tujhe fir se pana chahta hun
Ye teri yadon ko bhulana chahta hun
Zindagi ko fir se suljhana chahta hun
Main tujhe fir se pana chahta hun
Main zindagi fir se jeena chahta hun
Tum lot aao
Main tumhe fir se apna banana chahta hun
Thanks for reading Tum lot aao Main tumhe fir se apna banana chahta hun
Also, Read